Tere Bin Promo Song - Dil Toh Baccha Hai Ji
Tere Bin is the first promo song of the Bollywood romantic comedy movie Dil Toh Baccha Hai Ji, starring Ajay Devgn, Emraan Hashmi, Omi Vaidya, Shazahn Padamsee, Shruti Haasan and Shraddha Das. This romantic song is sung by Sonu Nigam and song lyrics are written by Pritam.Tere Bin Promo Song
Tere Bin Song Lyrics
Tere bin main dekhun na subah
Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya
Tere bin ho chalna bhi saza
Ki raahon se abhi, yeh vaada kar liya
Suno yehi jazbaat hain mere
Yeh dil kahe ki khwahishein jeene ki saath hain tere
Tere bin ho saanson se juda
Hawaaon se abhi, yeh vaada kar liya
Tere bin main dekhun na subah
Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya
Tu woh zameen jis pe maine to apni yeh duniya basaayi hai
Main bin tere ab kahan jaunga
Tu aasra hai mera, main to jeeta hoon tere bharose pe
Main bin tere ab na jee paunga
Meri to yeh har baat tujhse hai
Tu hi meri hai dhoop aur meri barsaat tujhse hai
Tere bin na barse yeh ghata
Ghataaon se abhi, yeh vaada kar liya
Tere bin mein dekhun na subah
Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya
Jo haath mein ho tera haath toh yeh lakeerein dhadakti hain
Tu ho judaa sab thama sa lage
Jo tu mere paas hai to yakeen apne hone pe hota hai
Tu ho judaa sab gumaan sa lage
Haan tu meri aadat mein shaamil hai
Mere liye main sach kahoon tu ibadaat ke kabil hai
Tere bin na poori ho dua
Duaon se abhi, yeh vaada kar liya
Tere bin mein dekhun na subah
Nigaahon se abhi, yeh vaada kar liya