
Meri Mohabat ko apne Dil mein dhoond lena,
Aur han! Aatay ko achi tarha goond lena!
Mil jae agar pyar to khona naheen,
Pyaz kat te waqt rona naheen!
Mujhse rooth jane ka bahana acha hai
Thori dair aur pakao gosht abhi kacha hai!
Mil k phir khushiyon ko bantna hai,
Tamatar zara bareek hi kaatna hai!
Log hamari mohbat se jal na jaen,
Chawal time pe dekh lena Kahin gal na jaen!
Kesi lagi gazal bata dena,
Namak kam lage tou aur mila lena.