Iss zamane se bohat alag ho aap
Vo khush kismat hai jiske paas ho aap
Hamare liye vo waqt hi haseen hai
Jab hamein yaad karke dil se muskura lete ho aap
Kabhi kisi baat ko dil se na lagaana
agar koi gham ho toh hamein zaroor bataana
tumhare liye hamare paas waqt hi waqt hai
jab dil bhar aaye toh chale aana
Nigahen aapki pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni,
Kyounki sanse aapki jaan hain hamari...
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar
Hasaati hai dosti rulaata hai pyar
Milaati hai dosti judaa karta hai pyar
Phir bhi kyu dosti chodkar lowg karte hai pyar
shyaad fursat nahi hai ruthne manane ki,
Nigahe badal gai apne or begano ki,
tum na chodna haath dosti ka,
warna tamanna na rahegi dost banane ki.
Sitaro ki bheed se churaaya hai apko
Dil se apna dost banaaya hai apko
Iss dil ko tootne na dena kabhi…
Kyun ke…Iss dil ke kone mein chupaaya hai apko
Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana
sath chalna mere tum dukh sukh mein
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana
Tere aane se zindagi mein bahaar aagayi
dost tu kabhi dil se door na jaana
ho agar hatta humse koi anjaane mein toh
yun khafa na rehna hamein zaroor bataana
Tum kya milley har khushi mil gayi
teri dosti har andhere ko ujaale mein badal gayi
yunhi nibhaate rehna dosti sath dena har kadam pe mera
teri dosti kya mili hamein toh duniya ki har cheez mil gayi
kadam kadam pe hawaon se taaluk rakhna
dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna
hamari yaadon ki khushboo zaroor aayegi
aap bas apne dil ka darwaaza khula rakhna
Ever largest collection of sms - 42
-
- Initiator
- Posts: 1055
- Joined: Feb 20, 2007
- Location: Multan, Punjab, Pakistan
- Contact: