Bohat aasan hai kehna,
Muhabbat tum say kartha hoon,
Magar matlab mohabbath ka,
Samaj lena nahi aasan,
Muhabbat paa kay kho dena,
Muhabbat kho kay paa lena,
Yeh un logo k Qessay hain,
Muhabbat kay jo mujrim hain,
Jo mill janay pay hanstay hain,
Bichar janay pay rothay hain,
Sunoo!!!
Muhabbat karnay walay to,
Bohat khamosh hotay hain,
Jo qurbat mein bhi jeetay hain,
Jo furqat mein bhi jeetay hain,
Na wo faryad kartay hain,
Na wo ashkoon ko peethay hain,
Mohabbat kay kisi bhi lafz,
Ka charcha nahi kartay,
Wo mar kar bhi apnay chahat ko,
Ruswa nahi karthay,
By Zulfiqar Ali Quetta (Mari abad)
Sunoo, BohAt AAsAn hai kehnA...
- amaya
- Extreme Poster

- Posts: 2092
- Joined: May 13, 2009
- Location: Lahore
- Pearl
- Ultimate Contributor

- Posts: 8069
- Joined: Mar 30, 2009
- Location: Deep inside the sea
- Contact:


