.
Aik Ghazal
__________
chand nikla aur falak par zau fashan honay laga
dard yaadon ka barha aur baikaran honay laga
ho gaye barham woh mujh say zulf e barham ki tarah
har nafas mairay liye baar e garaan honay laga
sehne gulshan say saba chupkay say guzri thi kabhi
aur mujhay tairay hi aanay ka guman honay laga
shiddate gham ka miri kuchh tujh ko andaza nahin
dil say nikla ashk aankhon say ayaan honay laga
daikh tairay gham nay kia kia shakl ki hay ikhtiyar
aankh shola, soch patthar, dil dhuaan honay laga
aadami nay kar dia hay tang halqa zeest ka
zarrae nacheez barh kar aasmaan honay laga
rang un kay chehray pe aatay rahay jatay rahay
aakhir aakhir un ko ahsase ziyan honay laga
ay waqare gham ye tairi khush naseebi hay ke ab
apnay gham ka un ki mehfil main bayan honay laga
MOON JEE




