**Us Safar Per**

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
being lonely
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 4829
Joined: Dec 06, 2009

**Us Safar Per**

Post by being lonely » Feb 25, 2015 Views: 536

Mout Se Yari Na Thi, Hasti Se Bezari Na Thi
Us Safar Per Chal Deye Hum, Jis Ki Teyari Na Thi

Hum Isi Ki Khak Se Uthe Hain Kundan Ban K Aaj
Dosto, Jis Shehar Mein Rasm-e-Wafadari Na Thi

Mar Gaye Sar Phor K Dewar-e-Zandan Se Aseer
Zindagi Kanj-e-Kafs Main Mout Se Payari Na Thi

Ab Shikest Aarzo Hai Baes-e-Taskeen-e-Dil
Is Se Pehle To Kabhi Yeh Kaifeyat Tari Na Thi

Jal Raha Hai Har Nafs Ab Apne Gham Ki Aanch Se
Sans Lene Main Kabhi MOHSIN Yeh Dushwari Na Thi
Mai ap apni moat ki tyaarion mai hon..!!!
Meray khilaaf apki Saazish fazool hai..!!!

User avatar
chandoo
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 19019
Joined: Sep 08, 2007
Location: Lahore
Contact:

Post by chandoo » Feb 25, 2015

wah dev babu wah....

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”