Usne sukoot-e-shab mein bhi

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
being lonely
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 4829
Joined: Dec 06, 2009

Usne sukoot-e-shab mein bhi

Post by being lonely » Jan 30, 2015 Views: 514

Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya

Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya

Dekho woh merey khwaab thai dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya​


Mai ap apni moat ki tyaarion mai hon..!!!
Meray khilaaf apki Saazish fazool hai..!!!

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”