Parh chuka hooN ap k maThey ki Tehrer'raiN bohat
Ishq ka Mafhoom Duniya Aj taak samjhe nahii
Husun walooN k the apne pass Tafseer'ain Bohat
Zindagii ki Justajoo mein QatilooN ki kia Kaamii
Yea Raag-e-Gardan Salamat hai tu ShamsheeriaN bohat
DehaaR k VeraN-khade mein Chashmey Beena Chahe'ay
Haar kahraBey mein nazar aain ge Tameer'aiN bohat
Phelay hum Ghustak'yeaN karke bii patay thaY sila
Ab zara se baaT bi milTee haiN Tazeer'aiN Bohat
wo Raah-e-Ahl-e-TamaNa mein qadam rakhta nahii
Jis k Naqsh-e-Paa se Wabasta haiN Taqdeer'ain Bohat
daikta rehhta hooN ek ek ko shaab-e-Tanha'ii mein
ZehaN mein mehfooz kar'rakain haiN Tasveerain Bohat
