Bus Ke Dushwar Hai Ghazal By Mirza Ghalib

Bas k dushwar ha har kam ka asan hona.
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona,
grya chahy ha kharabi mery kashanay ki,
dar o deewar se tapkay ha bayabaan hona,
wae dewangi e shouq k har dam mujh ko,
aap jana udhar or aap hi hairaan hona,
jalwa az bas k taqaza e nigah karta ha,
johar e ayena bhi chahiay mizghan hona,
isharat e qatl gah e ehl e tamanna mat pooch,
Eid nazzara ha shamsheer ka uryaan hona,
lay gaey khaak main ham dagh e tamanna e nishat,
tu ho or aap basad rang e gulistaan hona,
Ishrat e para e dil zakhm e tamanna khana,
lazzat e raish e jigargharq e namakdaan hona,
ki mery qatl k bad us ne jafa se tobah,
haey us zood e pashemaan ka pashaiman hona,
khaif us chara gra kapray ki qismat Ghalib,
jis ki qismat main ho aashiq ka girebaan hona,