Sitaray Safar Kay Daikhtay Hain - BY Ahmad Faraz
Suna hai log usay aankh bhar kay daikhtay hain,So us kay sheher main kuch din theher kay daikhtay hain,
Suna hai rabt hai usko kharab haaloun say,
so apnay aap ko barbaad kar kay daikhtay hain,
Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naaz uski,
so ham bhi us ki gali say guzar kay daikhtay hain,
suna hai us ko bhi hai sher o shayari say shaghaf,
so ham bhi mojzay apnay hunar kar dekhtay hain,
suna hai bolay to batoun say phool jhartay hain,
yeh bat hai t chalo bat kar kay daikhtay hain,
Suna hai rat usay chand takta rehta hai,
sitaray baam e falat se utar kay daikhtay hain,
suna hai din ko usay titliyan stati hain,
suna hai rat ko jugno theher kay daikhtay hain,
suna hai hashr hain us ki ghazaal si ankhain,
suna hai us ko hiran dhasht bhar kay daikhtay hain,
suna hai us ki syah chashmagi qayamat hai,
so usko surmah faroosh aah bhar kay dekhtay hain,
Suna hai us kay laboun say ghulab jaltay hain,
so ham bahar pay ilzam dhar kay daikhtay hain,
suna hai aaina tamsaal hai jabeen us ki,
jo saada dil hain usay ban sanwar kay daikhtay hain,
suna hai us k badan ki tareash aisi hai,
k phool apni kabayen katar kay daikhtay hain,
bas ik nigaah main lut’ta hai qaafila dil ka,
so rah rawan e tamanna bhi dar k daikhtay hain,
suna hai us kay shabistaan say mutasssil hai bakhisht,
makeen udhar kay bhi jalway idhar kay dekhtay hain,
kisay naseeb kay be pairhan usay daikhay,
kabhi kabhi dar-o-deewar ghar kay dekhty hain,
rukay to ghardishain uska taqaaf karti hain,
chalay to usko zamanay theher k daikhtay hain,
kahaniyan hi sahi, sab mubalghay hi sahi,
agar yeh khwab hai tabeer hai tabeer kar kay daikhtay hain
ab us kay sheher main thehrain kay kooch kar jayen,
Faraz aao sitaray safar kay daikhtay hain.