Ye Eid Bhi Teri Sarhadon Pe Manaun Ga
Har bar ki tarah is bar b Eid tujh pe qurban kar jaon ga,Main ye Eid bhi teri rakhwali main guzaron ga,
Hathon main raifal seeney pe golian sajaun ga,
Ay watan main ye Eid b teri sarhadon pe manaun ga,
Apni khushiyan aur gham apne tere sath hi manaun ga,
Ay watan katt jae sar tan se per teri qassam tujhe bachaun ga,
Main ye Eid bhi teri sarhadon pe manaun ga.