Ajnabi shehar ke ajnabi raaste ,

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
mariakhan
Initiator
Initiator
Posts: 1113
Joined: May 03, 2007
Location: India, Mumbai
Contact:

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste ,

Post by mariakhan » May 17, 2007 Views: 999

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste ,
meri tanhaii per muskurate rahe


mein bahut daer tak yunhi chalta raha,
tum bahut der taak yaad aate rahe.

Zeher milta raha zeher pite rahe ,
roz merte rahe roz jite rahe,


zindagi bhi hamien aazmati rahi ,
aur hum bhi use aazmate rahe .

Zakham jaab bhi koi zehan-o-dil per laga ,
zindagi ki taraf ek dareecha khulaa,


hum bhi kisi saaz ke taar hain ,
chot khaate rahe gun-gunate rahe.

Kal kuch aisa hua mein bahot thak gaya,
is liye sun ke bhi unsuni kar gaya,


kitni yaadone ke bhatke hua kaarvan ,
dil ke zakhmon ke dar khat-khatate rahe

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”