
[h2]SALAAM TO AAL MUSLIMS[/h2]
[h2]SHOBAAN-UL-MOUZZAM KI 15TH RAAT KO SHAB-E-BARAAT KAHA JATA HAI........ (NIJAAT KI RAAT)
IS RAAT KO ALLAH(SWT) APNE NEIK BANDON KO APNI KHASOOSI REHMAT SE NAWAAZTA HAI,IS RAAT HAR AMAR KA FAISLA HOTA HAI....
MOHAMMAD(SAW) KA FARMAN HAI
"UTHO MOMINO!AUR APNE RAB SE MAANGO.YAH RAAT BHT MUBARAK HAI...ALLAH(SWT) FARMAATEY HAIN IS RAAT KO K"HAI KOI AISA JO BAKHSHISH CHAHTA HO MUJHSE TAA KE MAIN BAKHSH DUN,AUR TANDRUSTI MAANGEY TO TANDRUSTI DUN,AUR HAI KOI MOHTAAJ KE ASOODA-HAALI CHAHTA HO?, TAA KE US KO ASOODA KAROON"...CHNAANCHE SUBAH TAK YEHI IRSHAAD HOTA HAI.............
IS RAAT KO SAB MUSLIMS BHT IBADAT KRTEIN HAIN MAIN AAPKO IS SE RELATED BTANA CHAHTI HUN K IS RAAT KO IBADAT KAISE KRNI CHAHIYE......KHAAS TOR PE UN K LIYE JO AURTEIN GHARON MEIN AKELE IBADAT KRTI HAIN...........
(1).....SURAH"DUKHAAN"(PAARA #25) PARHEIN TRANSLATION KE SAATH..... (IS RAAT IS KO PARHNE WALE K LIYE SUBAH TAK 70,000 FARISHTEY USKI BAKHSHISH KI DUAA KRTEY HAI)
(2)..... 100 BAAR IS ASTAGHFAAR KI TASBEEH KIJIYE "ALLAH-HUMMA-INNI AFUWWAN FAFO ANNI" JAZAKALLAH......
(3).....SALAT-UL-TASBEEH IS COMPULSORY
(4).....JITNA HO SAKEY ZIKAR KAREIN,DROOD SHAREEF PARHEIN..
(5).....NAWAFIL ADAA KAREIN JITNEY HO SAKEIN....AGER HO SAKEY TO DEEGAR NAWAFIL PARHEIN"8 RAKAT NAFAL IS TRHA PARHEIN K"SURAH,FATIHA" KE BAAD "SURAH-QADAR" 1 BAAR AUR "SURAH-IKHLAAS" 25 BAAR PARHEIN.....
(6)....SHOBAAN KE 14 AUR 15 KE ROZEY KA BHT SAWAAB HAI.....
ALLAH(SWT)APNE HABEEB(PBUH) KE SADKE MEIN TAMAAM MUSLIMS KO KHALOOS KE SAATH NEIK AMAL KI TOFEEK ATAA FARMAEIN....(AMEEN)
(AYE MOMINO! AAJ KI RAAT SE GHAFIL MAT HO,YEH RAAT KIYA PATA AGLEY SAAL HMEIN NASEEB HO YA NAHI?KIS KO PATA HAI?
AYE MOMINO! MAT BHULNA US AIK PAL KO JIS PAL TMHARE JISM SE TMHAARI ROOH JUDA HO GI...MAT BHULO K TM KO QABAR YAAD KRTI HAI......TMHARI MANZIL HI WOHI HAI.....MAT BHULO JIS PAL TM SUFAID KAFAN MEIN ANDHERI KABAR MEIN UTAAREY JAO GE TO YEH DUNYA KI LAZZATEIN TMHARA SAATH NAHI DEIN GI......
AYE ALLAH HUM SAB KO AMAL KRNE KI TOFEEK DE,ISHQ-E-RASOOL(PBUH)ATAA KAR.........AMEEN
JAZAKALLAH-KHAIR.....
[/h2]