AANKHAY BEGH JATI HAI

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
ar2st
Initiator
Initiator
Posts: 1055
Joined: Feb 20, 2007
Location: Multan, Punjab, Pakistan
Contact:

AANKHAY BEGH JATI HAI

Post by ar2st » Apr 18, 2008 Views: 806

AANKHAY BEGH JATI HAI

samandar mein utarta hoon toh aankhay begh jati hai
teri aankhoo ko pharta hoon toh aankay beegh jati hai

tumhara naam likhnay ki ejazat chein gai jab se
loi bhi lafz likhta hoon toh aanaky beegh jati hai

mein haas k jhal lata hoon judai ki sabhi rasmay
galay jab us sy lagta hoon toh aankhy beegh jati hai

na janay hoogaye is qadar hassas mein kab se
kisi say baat karta hon toh aankhay beeghjati hai

woh sab ghuzay lamhay mujhy yaad aatay hai
tumharay khat jo pharta hoon toh aankahy beeghjati hai

mein sara din bohat masrooof rahata hoon magar juhi
qadam chokhat per rakhta hon toh aankahy beeghjati hai

teri yaddon ki khushboo khirkiyoon mein raks karti hai
tery gham mein sulagta hoon toh aankahy beeghjati hai

har ek muflis k matayhy per alam ki dastanay hai
koi cheera bhi pharta hoon toh aankahy beeghjati hai

tery kochay se ab mera taluk ab wajabi sa hai
magar jab bhi ghuzarta hoon toh aankahy beeghjati hai

hazaroo mosamoo ki hukmarani hai mery dil per
wasi mein jab bhi hasta hoon toh aanak beeghjati hai

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”