Dheerey Say Sarakti Hai Raat Us K Aanchal Ki Tarah
Us Ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mei Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism-O-Jaan Ko Yun Lagaa
Piyaasi ZameeN Pay Jaisey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seeney Pay Sir Rakh K Raat Bhar Sula'oun Ga
Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah
Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jata Hai
Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah
Merey Hi Dil Ka MakeeN Nikla Wo Shakhas Aur Mein
Shehar Bhar Mei Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah
Madhosh Sa Ho Jata Hoon Jab Barish Ki Boondein
Cheerti Hain Koi Naghma Us Ki Chanakti Payal Ki Tarah
Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Wo NaazneeN Wo Dil NasheeN Hogi Mehakti Ghazal Ki Tarah
Nahi Tha Khaar Zaroon Pay Tanha Bay-Sabab Safar Mera
YaqeeN Tha Mil Jaye Ga Raah Mei Wo Manzil Ki Tarah
Dheerey Say Sarakti Hai Raat Us K Aanchal Ki Tarah
-
- Initiator
- Posts: 1010
- Joined: Feb 20, 2007
- Location: Multan, Punjab, Pakistan
- Contact: