Khahish

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
ar
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 6666
Joined: Feb 17, 2007
Location: Pakistan, Lahore
Contact:

Khahish

Post by ar » Mar 12, 2008 Views: 1361

Yeh jo bay naam sa taaluq hay, tumharay maray darmiaa,
Main isko toul deena chahta hoon,
Tumharay sung zindagi kay safar per nikalna chahta hoon,
Magar tum jo lafzoo ki faseelain giraati ho,
Bindishoo kay zulm dhatti ho,
Meray jazboo,
Meray armanoo ka,
Khun-e-rung urati ho,
Bay-hissi ki zard chaddar say khushion ko mitati ho,
Dil-e-Nadar main ik tees uthti hay,
Khawishoo kay zard haley fiza ko dhaanp daitey hain,
Dil ki har dharkan matam kanaa yeh kehti hay,
Bus tum lout hi aao,
Rang bhar do is hyat-e-bayrang main,
Hayat-e-muntashir ko tum samait sakti ho,
Meri rooh kay zakhmoo ko tum bant sakti ho,
Tu bus phir yeh taay howa,
Main tumharay sung chalna chahta hoon,
Khud ko tum say bantna or tum ko khud main sumoona chahta hoon,
Per ab yeh faisla tum ko kerna hay,
Ik zara si haan keh ker meera hur gham baant lo,
Door-e-guzashta ki hur siahi ko chant do,
Meri hur saans tum lay lo bus apni haan mujhey day do,
Main is taaluq ko dawam dena chahta hoon,
So ik main hoon woh tum lay lo,
So ik tum ho, mujhey day do.

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”