Poetry of Sahir Ludhianvi

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
irfanmahmood
Just Born
Just Born
Posts: 5
Joined: Jan 23, 2008
Location: Multan

Poetry of Sahir Ludhianvi

Post by irfanmahmood » Jan 23, 2008 Views: 2217

Dil jo na keh saka,
wahi raaz-e-dil, kehne ki raat aayi...

Nagma sa koi, jaa utha badam mein,
jhankaar ki si tharthari hai tann mein - 2
hoo, pyaar ki inhi dhadkati;
dhadakti fizaon mein, rehne ki raat aayi...

Ab tak dabi thi ek mauj-e-armaa,
lab tak jo aai, ban gayi hai tufaan-2
hoo, baat pyar ki bahekti;
bahekti nigahon se kehne ki raat aayi,

Guzre na ye shab, khol du ye zulfen,
tumko chuppa lu, muund ke ye palken -2
hoo, beqaraarse larazti;
larazti si chaaon mein, rahne ki raat aayi...

"Sahir"

User avatar
irfanmahmood
Just Born
Just Born
Posts: 5
Joined: Jan 23, 2008
Location: Multan

Post by irfanmahmood » Jan 25, 2008

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai"

Yeh Mehlon,Yeh Takhton,Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Doulat Key Bhookhey Riwajon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi,
Nigahon Mein Uljhan, Dilon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yahaan Eik Khilona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahaan To Jeevan Sey Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Byopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi, Dosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jala Do Isey, Phoonk Dalo Yeh Duniya.
Mere Saamne Se Hata Lo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai?

User avatar
irfanmahmood
Just Born
Just Born
Posts: 5
Joined: Jan 23, 2008
Location: Multan

Sochta hoon ki mohabbat se kinaara kar loo'n

Post by irfanmahmood » Jan 25, 2008

Sochta hoon ki mohabbat se kinaara kar loo'n
dil ko begaana-e-targeeb-o-tamanna kar loo'n

sochta hoon ki mohabbat hai junoon-e-rusva
chand bekaar se behuda khayaalo'n ka hujoom
ek aazad ko paaband banaane ki hawas
ek begaane ko apnaane ki sai-e-mauhoom

sochta hoon ki mohabbat hai suroor-e-masti
iski tanveer mein raushan hai faza-e-hasti

sochta hoon ki mohabbat hai bashar ki fitrat
iska mit jaana, mita dena bahot mushkil hai
sochta hoon ki mohabbat se hai taabinda hayaat
ab ye shamaa bujha dena bahot mushkil hai

sochta hoon ki mohabbat pe kadi shartein hain
iss tamaddun mein masarrat pe badi shartein hain

sochta hoon ki mohabbat hai ek afsurda si laash
chaadar-e-izzat-o-namoos mein kafnaee huee
daur-e-sarmaaya ki raundi huee rusva hasti
dargah-e-mazhab-o-ikhlaaq se thukraee huee

sochta hoon ki bashar aur mohabbat ka junoo'n
aisi boseeda tamaddun se hai ek kaar-e-zaboo'n

sochta hoon ki mohabbat na bachegi zinda
pesh-az-waqt ki sadd jaaye ye galti huee laash
yahi behtar hai ki begaana-e-ulfat hokar
apne seene mein karoo'n jazb-e-nafrat ki talaash

aur sauda-e-mohabbat se kinaara kar loo'n
dil ko begaana-e-tarageeb-o-tamanna kar loo'n.

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”