kyun is dil main kuch toota sa nazar aata hai
kyun is dil main kuch toota sa nazar aata hai...
sheher yeh har simt se loota sa nazar aata hai....
ki dil se dhoondo to Khudaa bhee mil jaaye kaheen...
abb yeh sach bhee to kuch jhoota sa nazar aata hai....
tune kuch youn badlaa hai zindagee ka rang.....
teraa har zakhm ab boota sa nazar aata hai....
na jaani hum ne lazzat-e-ashnayee kabhi.....
ab meraa dushman bhee kuch rootha sa nazar aata hai...
sookh gayaa ashkon ka samandar tere baad...
dard ka saath bhee abb choota sa nazar aata hai....
ise kehte hain shiddat-e-tanhayee e-ar
sheeshey main yeh chehra bhee jhoota sa nazar aata hai
kyun is dil main kuch toota sa nazar aata hai
-
- Ultimate Contributor
- Posts: 6666
- Joined: Feb 17, 2007
- Location: Pakistan, Lahore
- Contact: