Khoon apna ho ya paraaya ho,

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
irfanmahmood
Just Born
Just Born
Posts: 5
Joined: Jan 23, 2008
Location: Multan

Khoon apna ho ya paraaya ho,

Post by irfanmahmood » Jan 25, 2008 Views: 1280

Khoon apna ho ya paraaya ho,
nasl-e-aadam ka khoon hai aakhir,

Jung mushrique mein ho ke mughrib mein
amn-e-aalam ka khoon hai aakhir,

Bomb gharon pe girey ke sarhad par
rooh-e-ta'amir zakhm khaati hai,

Khet apney jalein ya auron ke
zeest faaqon se tilmilaati hai,

Jung to khud hi ek mas'ala hai
jung kya mas'aloN ka hal degi,

Aag aur kHoon aaj bakhshegi
bhook aur ehtiyaaj kal degi,

is liye aye shareef insaano
jung talti rahe to behtar hai,

Aap aur hum sabhi ke aangan mein
shama jalti rahey to behtar hai

Bartari ke suboot ki khaatir
khoon bahana hi kya zaroori hai?

Ghar ki tareekiya mitaane ko
ghar jalaana hi kya zaroori hai?

aao! is teer bakht duniya mein
fiqr ki roshni ko aam karein

am'n ko jis se taqviat punhche
aisi jungo ka ehtimaam karein

Aao! ke aaj gaur karein is sawal par
dekhey they humne jo,woh hansee khwab kya hue,

Daulat badhi to mulk mein iflaas kyon
badha khush-haali-e-awaam ke asbaab kya hue

Jo apne saath saath chale koo-e-daar tak
woh dost woh rafeeq, woh ehbaab kya hue,

Dekha hai zindagi ko kuch itna qareeb se
chehrey tamam lagney lagein hain ajeeb se,

is rengtee hayaat ka kab tak uthaayein bhaar
beemaar ab ulajhney lagien hain tabeeb se

is tarah se zindagi ne diya hai hamara saath
jaise koi nibha raha ho raqeeb se.

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”