Kaun kehta hai dil pagal hai

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
heart4sale
Fan of Fun Stuff
Fan of Fun Stuff
Posts: 257
Joined: May 11, 2007

Kaun kehta hai dil pagal hai

Post by heart4sale » Aug 05, 2007 Views: 1067

Kaun kehta hai dil pagal hai
Pagalpan to sirf aik bahana hai
Aik bar hans kar muskura kar to dekho
Yeh pagal tumhara deewana hai


Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke
Ab to bas dharkano ka lihaz karte hain
Kya kahein dunya waalo ko jo
Aakahri saans par bhi aitraaz karte hain


Hum to bethe hi aap ke pyar main
Tarapte hain dard ke is jaal main
Chor di hai dunya is takrar main
Jab se milli hain tanhayian aap ke intezar main


Khud se to pyar hum ne kabhi kiya hi nahin tha
Aap ke siwa kisi ko ye haq diya hi nahin tha
Mushkilon main aaj aap ne rishta hi tor diya
Roshni ka khawab dikha kar andhere main chor diya

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”