Kab Tak Poetry By Sunil Gahlot For Peshawar Incident

kab tak...aakhir kab tak ye dhuan ye rakh ye ye khoon ka sailab
kabhi to dil bharta hoga....
vo dekho laal ho gaya khilona kisi bache ka...jise badhawas maa seene se laga ke baithi hai beech sadak me
charo taraf jaddozahad ke kahin se mil jaye ek katra uske kapdon ka...chhupa ke rakh lu apne aanchal me...
vo bikhri chudiyan yahan vahan...kisi ka chshme ka kanch pada hai..kahin chubh na jaye paon me
sooni aakhne roonde gale se dekhte aadam
is khawab me ke kabhi kuch na hua hota..
khud ko kosti maa ke shayad ek roti aur khila ke rok leti...to aaj mera bacha padne na gaya hota
har koi aankho me firaq liye ke kash kash waisa hua hota ..to aisa na hua hota...
tumhare ghar me bhi to koi hoga...tumhe bhi to koi rokta hoga
kab tak ..aakhir kab tak ye khoon ka sailab
kabhi to dil bharta hoga...