***Aahat si huwi thi***

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
being lonely
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 4829
Joined: Dec 06, 2009

***Aahat si huwi thi***

Post by being lonely » Mar 14, 2015 Views: 611

Aahat si huwi thi, na koi barg hila tha..
Main khud hi sar-e-manzil-e-shab cheekh para tha,

Lamhon ki faseelain bhi meri gird kharri thein..
Main phr bhi tujhe sheher main awara laga tha...

Tune jo pukaara hai to bol utha hun,
Warna main fikar ki dehleez pe chup chaap khara tha,

Phaili thi bhare sheher main tanhai ki batain..
Shayad koi dewar k peeche bhi khara tha,

Ab is k siwa yad nahi jashn-e-mulaqat
Ek matmi jugnu meri palkon pe saja tha,

Ye barish-e-sang ab kay musalsal na huwa thi,
Ya phr main tery sheher ki raah bhol gaya tha..

Ek jalwa-e-mehboob se roshan tha mera zehan
Wajdan ye kehta hai wohi mera khuda tha..

Weraan na ho is darja koi mosam-e-gul bhi..
Kehte hain kisi shakh pe ek phool khila tha,

Ek tu kay gurezaan hi raha mujh se behar tor...
Ek main kay tery naqsh-e-qadam choom raha tha..

Dekha na kisi ne bhi meri simt palat kar..
"Mohsin" main bikharte howe sheeshon ki sada tha..!!


Mai ap apni moat ki tyaarion mai hon..!!!
Meray khilaaf apki Saazish fazool hai..!!!

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”