
Zara tham tham kay barsa kar
Abhi itna na roya kar
Abhi to door hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar
Teri aankahain samandar hain
Samandar ko na sehra kar
Mera dil doob jata hai
Mujhe aise na daikha kar
Hawa mujhse kahe pagal
Na yun rston main betha kar
Wo ikk din chorr jaye ga
Usse itna na chaha kar...