Yaad jo aon to itni si inayat karna
Apnay badlay huay lehjy ki wazahat karna
Tum to chahat ka ik shahkar hua kartay thay
Kis say seekha hai u ulfat mai milawat karna
Hum sazaon k hi haqdar banay hain kab say
Tum hi keh do k jurm hai kia mohabat karna
Teri furqat mai yeh ankhain abhi tak hain num
Kabhi ana meray ashkon ki ziarat karna
Dil mai ab bhi mohbaat k diay hain roshan
Daikh bhoolay nahi teri hasti say mohabat karna
Yaad jo aun to inti si innayat karna
- Mudassir
- Ultimate Contributor
- Posts: 10314
- Joined: Feb 05, 2010
- Location: -----------
- Contact: