Mazaya Ghazal

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
Alone Guy
Fan of Fun Stuff
Fan of Fun Stuff
Posts: 433
Joined: Jun 21, 2009

Mazaya Ghazal

Post by Alone Guy » Jul 06, 2009 Views: 1734

mujhey harr haal mai ab lamha lamha muskurana hai
k saali jee ne, karne eid Pakistan aana hai

hamesha se suna hai aafatain tanha nahee'n aatee'n
suna hai unkey shohar ne bhi unn k sath aana hai

ye wo saali hai jiss k ghar har ikk size k bachey hain
inhee'n bacho'n ne ghar mai aa k kya udham machana hai

yah'n tak bhi agar hota to mai itna na ghabhrata
k beghum k barhe bhayya ne bhi Masqat se aana hai

ye wo bhayya hai jiskey sath ik bhabhi bhi hoti hai
wo jiski shakhio'n ne aasmaa'n sar pe utthana hai

abhi susral ja kar saas jee ko sath lana hai
ye aisey hai k jaisey june mai Multan jana hai

abhi kuchh roz baqi hai ye ghar susral bann ne mai
abhi apni hukumat hai abhi apna zamana hai

sunati hai mujhe beghum hamesha aik hi lecture
merey pyaro'n k aane par ye ghar kaisey chalana hai

kisey shopping karani hai kisey khali ghumana hai
kisey burgur khilane hain kisey boofey khilana hai

wo kehti hain, kahee'n se mai pajaro chheen kar lawoo'n
k motorway se ho kar abb to harr manzil pe jana hai

wo kehti hain ye apne hain inhain sab kuchh dikhana hai
inhain Gilgit k rustey se Muree tak le k jana hai

wo kehti hai k Bakra, Oont Gaye teeno karne hain
nirali shaan se iss Eid ko hamm ne manana hai

wo beghum hain hamesha hukm hi uss ne chalana hai
mai shohar hoon merey gham ka wahi qissa purana hai

ajab hairan ho kar sochta rehta hoo'n mai aksar
mujhe kuchh yaad rakhna hai mujhe kuchh bhool jana hai

ye bakrey ki nahee'n hai apni qurbani hai FAKHREE jee
kaho abb ghar mai rehna hai k ghar se bhag jana hai

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”