Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota
Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi
Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein "
Badla wafa ka dengey badi Saadgi se Hum
Tum "Hum" se rooth jaaogey aur Zindagi se Hum..........
Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai,
kagaj ki kashti hai, barish ka zamana hai,
kya shohrat-e-mohabbat hai,
kya shohrat-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai,
us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai, tufan ko bhi aana hai,
samjhe ya na samjhe wo andaz mohabbat ke,
ek shaksh ko aankhon se haal-e-dil sunana hai,
bholi si adaa koi phir ishq ki zid par hai,
phir aag ka dariya hai aur dub ke jana hai........
Shayari........
- ujala
- Ultimate Contributor

- Posts: 18532
- Joined: Jan 31, 2009
- Location: Islamabad
- Contact:
