Bean-E- Meerajh-Mubarik Aan Hazrat Sallaho-Alihi-Waalehi-Was

Post Reply
User avatar
Pearl
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 8069
Joined: Mar 30, 2009
Location: Deep inside the sea
Contact:

Bean-E- Meerajh-Mubarik Aan Hazrat Sallaho-Alihi-Waalehi-Was

Post by Pearl » Jul 20, 2009 Views: 12162

Bean-E- Meerajh-Mubarik Aan Hazrat Sallaho-Alihi-Waalehi-Wasalam


Shab-e-meraj wo rat k jab malk-e-kanat ne apne mahbob ko arsh per bolan ka fesla kia wo rat k jab Hazrat Muhammad S.A.W ke Allah se mulaqat howi. Jab Aap S.A.W ko jannat aur do dozagh dikhai gai wo rat k jab Aap S.A.W ne haram se betul-muqadas tak ka safer kia jahan Aap S.A.W ne tamam Ambia Akram ki emat ki aur aur phir asmano ki taraf perwazki jahan ap ne asmano per Ambia Akram se mulakat ki jaant aur dozagh dekhi jahan se ap ko namaz-e- banjgana ka tohfa mila

Ek riwat main aya hai k jab Aap S.A.W ki umer-e-mubarek 50 saal aur 3 maah ki howi to to Aap S.A.W ko meeraj howi aur shab-e- meeraj main choti(4th) dafa Aap S.A.W ka sina mubarik chaak kia geya take dil main quwak pewast ki jay.

Rasool Pak S.A.W ne pfermaya k main hateem main soo raha tha k achanak Hazrat Jibrail aur Hazrat Mikail aay aur mera sina naaf tak chera ker mera dil nikala aur Aab-Zam-Zam se do ker emaan aur hikmat se bara aur dobara usi jaga rakh dia. Ek rewayat main hai k Hazrat Jibrail ko Allah ki taraf se hukam mla k jannat se boorakh aur 70000 farishte le jay aur mere Habib- Qureshi ko meri derga aalia main ponchao.

Rasool saw ne fermate hain k main hazrat uum-e-hani k ger main baad namz-e-aisha k soo raha tha ke k Jebraeel ne aay k mujay utaya main ne dekha k Jebraeel aur Mekhaeel dono mere serhane bete hain aur mujhko neend se uthaya aur wo kahte the tha aay Habbeb-E-Makbool S.A.W uto aj ki shab apki merajh hai un k utane se main apni neend se bedar howa tu wo mujay Aab-Zam-Zam k pas le gay mujay fazu kerwaya aur 2 rakat namaz perha ker masjid k derwaze per laay jahan ek boorak khara tha.

Jis per sawar ho ker Aap S.A.W muktalif iqsam ke ajaibat dekhte howe Betul-Muqadas ponchej jahan tamam farishe aasman se utre aur kaha k “ Bohat Pak Hai Wo Jo Lee Gia Apne Bande Ko Eik Raat Main Masjid-Ul-Haram Sy Masjid-Aksa K Anderâ€￾ aur tamam Ambia wahan aa ker jama howe aur phir Aap S.A.E ne sab k sat 2 rakat namaz perhi aur amat kerwai


Last edited by Pearl on Jul 22, 2009, edited 2 times in total.

User avatar
Pearl
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 8069
Joined: Mar 30, 2009
Location: Deep inside the sea
Contact:

Post by Pearl » Jul 20, 2009


Eik rawayt main hai k Maka- Mazmah se Beetul-Muqadas 3 mahene ki rah hai lekin Rasool S.A.W siraf 2 qadam main wahan pohnche Aap S.A.W ko ye mojza alah ki taraf se ata howa tha.

Yahan se Aap S.A.W pahle(1st) asman per tashreef le gay jahan Aap S.A.W ne Hazarat Adam se mulakat ki aur phir dosare(2nd) asman per gay jahan Harat Yahiya aur Hazrat Aisa se mulakat ki phir wahan se teesare(3rd) asman per gay jahan Hazrat Yosaf se mulakat howi. Chote(4th) asman per Aap S.A.W ki mulakat Hazrat Adrees se howi aur panchwe(5th) asman per Hazrat Haroon se mulakat ki. Aur wahan se chate(6th) asman per tashref legay jahan Hazrat Musa se mulakat howi.

Hazrat Musa ne Aap S.A.W say fermaya k Ya Rasool Allah S.A.W jo kuch Allah Rab-Ul-Aeezat ki taraf se aap ki umat per farz kia jawy usay khoob soch ker qabool kijiay ga ic waste k Aap S.A.W ki umat ki umer thori hai aur wo zaheef-o-natawan hai.

Phir aap wahan se sathweain(7th) asman per tashreef le gay wahan Aap S.A.W ne dekha k kaseer tadad main farishte abadath main masroof hain ye mushahida ker k aap age bare aur Hazrat Ibrahem se mulakat ki. Phir wahan se Aap S.A.W beet-ul-umor main pohnche Allah ne beet-ul-umor ko yaqut aur mooti aur sabaz zamerd se banaya hai.

Phir Aap S.A.W mukame Raf Raf per ponche jo Hazat Izrafeel ki jaga hai aur phir arsh ne wahan se jaldi utha lia khatab aya janab Bari Tala se k Aay Habeeb agay aao Hazrat Muhammad S.A.W ne chaha k naleen paon se utar lain tab arsh jumbish main aya hukam howa k naleen mat utaro maah nalen k aao Aap S.A.W ne arz ki Yaa Alahi Musa ko ko hukam huwa tha wo chalis(40) rooze rakhain aur apne paoon se naleen utar k ker Tur -E-Sina per aayain aur ye mukam to us se hazar darje bahter hai kiun ker mian nalen sameed aaon phir hukam howa Aay Habeeb Musa ko is liay hukam huwa k kaaq Tuur-E-Sina un k kadmon ko lage jis se un ko buzergi hasil ho aur teri kaq-e-naleen se arsh ko buzurgi doon ga


Last edited by Pearl on Jul 22, 2009, edited 1 time in total.

User avatar
Pearl
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 8069
Joined: Mar 30, 2009
Location: Deep inside the sea
Contact:

Post by Pearl » Jul 20, 2009


Aap S.A.W ne wahan dekha k dahni taraf 312 member hain aur bahni taraf 1 member hai bara azeem-o-shaan Aap S.A.W ne un ka hal deryaf kia to khatab aya k dahni taraf sab member Pegamberron k hain aur bahni araf ka member Tumhare waste hai kiun ki dahne taraf bahihst hai aur bahni taraf dozag hai

Phir janab-e-bari tala se hukam howa k rooz 50 wakat ki namaz aur 6 maahene k rosay her saal tum per aur tumhari umat per farz kiay phir Aap S.A.W ne apna sar sajde mian rakh ker aho zari ki phir kaha Ya Alahi meri umat zaeef-o-natafan hai aur umer bhi thori hai ic qader bar-e-giran na utha sakhe gi chunacha Bari Tala se hukam huwa main Arham-Ul-Reman hoon ic waja se aay habeeb jo tu ne arada kia main ne tuj ko baksha aur 50 wakat ki namaz aur 6 maah ke roozon ka sawab tum ko milay ga.. Phir Aap S.A.W ne arz ki Ya Allahi meri umat mujse poche gi k Allah ne kia hadiya-o-toofa humare waste anayat fermaya to main un ko kia kush-kabri doon ga Janab-E-Bari se hukam howa awal 5 wakat ki namaz aur 1 maheene k rooze aur 30000 kalmat deni-o-dunyawi un ko dena aur 30000 kalmat jo raz-dari k hain wo kisi se mat kahna aur baki 30000 jo hain us ko chaho kaho yan na kaho.

Tab Aap S.A.W ne qabool kia aur phir apna sar-e-mubarek sajde main rakh ker arz ki k Ya Allahi jo kuch main ne dekha aur suna hai ye main kis se kahon aur kon meri bat ka atbar kare ga Janab-E-Bari se hukam howa k pahle Abu-Baker se kaho wo tumhari bat ko sach jane ga aur phir us k piche her eik mane ga Aap S.A.W sajda-e-shuker baja lay aur phir Darbar-E-Allahi se ruksat howe.

Wahan se aap Beet-Ul-Aqsa ponche jahan per tamam Ambia ap ke muntazir they sab ne Aap S.A.W ko mubarik bad di phir Hazrat Jibraeel ne asan di aur Aap S.A.W ne amamat kerwi ic k bad wahan se ruksat howy aur Bebe Um-E-Hani k ger tashreef lay jab apne bister per tashref lay to wo abhi tak garam tha aur jis gaja wazu kia tha wahan se pani ko bathe aur hujre ki zanjeer ko hilte dekha.


Last edited by Pearl on Jul 22, 2009, edited 2 times in total.

User avatar
Alone Guy
Fan of Fun Stuff
Fan of Fun Stuff
Posts: 433
Joined: Jun 21, 2009

Post by Alone Guy » Jul 21, 2009

JAZAKALLAH..

User avatar
kajnh
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 11513
Joined: Apr 04, 2009
Location: In Heart of My LoVe
Contact:

Post by kajnh » Jul 21, 2009

JAZAKALLAH KHAIR !


Pearll .. very nice sharing !
kajnh - the DON

Touching Your Heart!

User avatar
ateeqlab
Sweet Member
Sweet Member
Posts: 50
Joined: May 21, 2009

Please make some correction

Post by ateeqlab » Jul 21, 2009

Pearl

Aap ne likha to bahut acch hai lekin is mein ek bahut badi galti kardi hai.
Who yeh ki Hazrat Ayesha R.A se yeh hadees marvi hai jo sahi bukhari ki hai. Jis mein yeh likha hai ki "JIS SHAKHS NEY YEH KAHA KI MERAJ KI RAAT AAP S.A.W NE ALLAH KA DEDAR KIYA THA US NEY AAP S. A. W. PA JHOT BANDHA" is liye phela correction yeh karo ki is mein sey yeh nikal do ki Allah ne aap s.a.w. ko apna dedar karaya. Aur doosri baat yeh ki kai jagah par spelling mistake bahut ziyada hai ek jagah tum ne Allah ki bjaye llah likha hai. Aur Allah ki koi dargah nahi hai uska sirf dar hai aur aisa dar ki is zameen aur aasman mein kahin nahi hai.
Sab se badi baat to tum ne likhi hi nahi jo aarsh par janey ke baad hui thi. Jahan par Allah Rabul Izzat ney Aap s.a.w. ko namaz ka tohfa diya tha.
Ummeed karta hoon ki tum is mein correction zaroor karogi taqi logon ko padhney mein aasain ho.

User avatar
Pearl
Ultimate Contributor
Ultimate Contributor
Posts: 8069
Joined: Mar 30, 2009
Location: Deep inside the sea
Contact:

Post by Pearl » Jul 21, 2009

Thanks for indicating my mistakes I will try to correct them.
Sorry dear I can’t complete it that night. Now I complete it. But there is still something to write but then it goes so long that why I didnt write.

User avatar
asim javed
Fan of Fun Stuff
Fan of Fun Stuff
Posts: 458
Joined: May 20, 2009

Post by asim javed » Jul 31, 2009

JAZAKALLAH............................................

Post Reply

Return to “Light Mood Articles”