jitna pyar karta hoon
Bura na maan agar tujh ko pyar karta hoon,,,Gunah kounsa aisa main yAr karta hoon...
Meri khataon main meri samajh ka nahi koi dhakal,,
Main jo bhi karta hoon be-ikhtiyar karta hoon...
Tu kitnay pyar k qabil hai kia khabar mujhko,,,
Ke main to jitna bhi mumkin hai pyar karta hoon...
Wo ghair ho ya dost koi bhi ho magar us se,,,
Main tera tazkra dewana-waar karta hoon..
KHUDA ki duniya se itni mohabbat nahi hai shayad,,,
KHUDA k aik banday ko main jitna pyar karta hoon...