Posted: Oct 30, 2009 Topic Views : 86 Post subject: Mitti ke diya se maakhooz
Mirza adeeb ki kitaab mitti ke diya se.
Abba ge mujhay maartay thay to ammi bach lete theen.
ek din mene socha
ke
ager ammi pitaai karain ge to abba g kiya karain gay.
ye dekhne ke liay men ammi ka kaha na maana,
unho ne kaha baazar se dahi laa do.
main na laaya.
unho ne saalan kum diya,
mene ziyaada per israar kiya,
unho ne kaha
ke
peerhi ke ooper beth ker roti khao,
main zameen per darri bicha ker beth gaya,
kapray mailay ker liay,
mera lehja bhi gustaakhaana tha,
mujhay poori tavaqqu thi
ammi zarur maarain ge,
meger unho ne mujhay seenay se laga ker kaha,
"""Oo Puttar!
"Maa sadqay"
Beemaar to nahi,
uss waqat mere aansu thay ke ruktay nahi tahy,
Apni maa ka khayaal rakhain
aor duva karain ke ALLAH sihat salamti or khushiyonke sath lambi umer de aapki or meri maa ko.
or jinahain ALLAH ne apne paas bula liya hai unko apni rehmat me jaga dey.
aameen[/i]