
Jane ye kaisa dard hai chhupaya nahi jata...
Hamdard bhi koi nahi to bataya bhi nahi jata...
Jane kese apne the jo bina soche yu rula gaye...
unse gila karke to hume unhe rulaya bhi nahi jata...
Behte asko ki nami to unke dil ko shayad chhuye kabhi...
Par hum kya kare ki is dil ko or samjhaya bhi nahi jata...
Me chand tukde kanch ke asmaano me gina karta hu ab...
Taro ko dekh kar bhi ab in ankho ko sulaya bhi nahi jata...
Mere dard ki inteha agar tu jaan sakti kabhi to...
Dard-e-dil ko tujhse kabhi bhulaya bhi nahi jata...
Bechaini to tujhe dil lagane ke baad se hi le li thi...
Itna muhabbat-e-sukun paker dil ko behlaya bhi nahi jata...
Me to akela sa tanha sa is kadar chhut gaya dunia me ab...
Maut bhi ati nahi or teri yadon ko zeher pilaya bhi nahi jata...
