MAA JESI HASTI DUNIYA MAIN HAI KAHAN
Yeh kamyaabiyan izzat yeh naam tum se hai
khuda ne jo bhi diya hai maqaam tum se hai
Tumharey dam se hien mere laho mein khiltey gulaab
mere wajood ka sara nazaam tum se hai
Kahan bisaaat jahan aur mein kamsin nadan
yeh meri jeet ka sab ehtamam tum sey hai
Jahan jahan hai meri dushmani sabab mein hoon
jahan jahan hai mera ehtaraam tum sey hai
Apne Wajood Mein, Mujh Ko Tu Ne Pala
Insaniyat Ke Sanche Main, Mujh Ko Tu Ne Daala
Peda Hua Tha Aadmi.. Insaan bana Dala…
Tu Hai Meri Zameen, Tu Mera Aasmaan Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Tujh Pe Hota Hai Mujh Ko Khuda Ka Gumaan Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Jis Ghar Main Maa Ho tawaf Karo…
Ek baar nahi baar baar karo…
Allah Muhammad Ali Hassan Hussain o Fatima Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa,
Tujh Se Pehle Tha Veeraan Sara jahan
Tu Mili, Mil Gaya Mil Gya Noor Ka Ek Samaan
Chahay Hevaan Ho, Chahay Insaan,
Har Roop Main Tu Meharbaan Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Tu Mamta Ka Aik Samandar Hai
Aur Mera Khuda Tera Ander Hai
Tere Paon jahan, Meri Jannat Wahan
Tham gaye Zindagi Ke Toofan Ae Maa, Ae Maa
Meri Aankhon Ko teri Hi Aadat Hai
Tera Chehra Meri Ibadat Hai
Tu Khuda ki Duniya Main Pehchaan Hai
Mera Emaan Hai, Meri Maan Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
MAA JESI HASTI DUNIYA MAIN HAI KAHAN
- Mudassir
- Ultimate Contributor

- Posts: 10314
- Joined: Feb 05, 2010
- Location: -----------
- Contact:


