Kuchh aiteraz hai, kuchh ikhtilaf

Post your Poetry Collection here or read the creations of others as well...
Post Reply
User avatar
genial.soul
Fun Addict
Fun Addict
Posts: 631
Joined: Mar 17, 2007

Kuchh aiteraz hai, kuchh ikhtilaf

Post by genial.soul » Jan 24, 2009 Views: 1579

Kuchh aiteraz hai, kuchh ikhtilaf
Gar aaj iss mushkil mein daal hi diya hai Tau suno, suno keh mein aik
jhoot hoon . Aik moon bolta, moon phat jhoot.......Mein bhi aur tum
bhi... jhoot
Yeh gird-o-nawah ka shaoor
Jang-o-aman kai pech-o-kham
Yeh tajasus-e-dil-o-dimagh
Peer-o-alam, ustad-e-muhtaram
Yeh raasta dikhaney waley
Sab jhoot hein, jhoot hein, mein bhi aur tum bhi.....
Yeh baatein shayad samajh na paao
Keh nazar faqat shanas hai
Mustarid roshnee ko sach jaanney kee Haqeeqat maanney kee....
Alfaz kai madar mein alfaz hee alfaz hein . Alfaz kai is bhanwar mein
alfaz kee talash hai
Alfaz sai tau soch hai....
Yeh baatein shayad ab bhi samajh na aayen . Keh yeh alfaz bhee tau
jhoot hee hein . Sab Jhoot hein, mein bhee aur tum bhi.....
Gar aaj iss raat nai parda chaak kar hee diya hai Tau suno, suno - aur
sun lo .....
Keh yeh raat iss dil sai zuban chahti hai
Yeh raat subah-e-tareek sai panah chahti hai
Har woh soch jo alfaz sai mashroot hai
Yeh raat uss soch kee karee saza chahti hai
Yeh raat har uss halat kee maut chahti hai
Jo ishq kai badlay khuda chahti hai
Yeh raat... irtiqa chahti hai

Post Reply

Return to “Poetry (Shero Shayari)”