Hamesha dair kar deta hun main...!
hamesha dair kar deta hun main har kaam karne mein
zaroori baat kehni ho koi wada nibhana ho
usse awaz daini ho, usse wapis bulana ho
hamesha dair kar deta hun main
badalte mosmo ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jana ho
hamesha dair kar deta hun main
kisi ko mout se pehle kisi gham se bachana ho
haqeeqat aur thi kuch usko jaa kar yeh batana ho
hamesha dair kar deta hun main
Hamesha dair kar deta hun main...!
- Murad Ali
- Extreme Contributor

- Posts: 3087
- Joined: Mar 10, 2009
- Pearl
- Ultimate Contributor

- Posts: 8069
- Joined: Mar 30, 2009
- Location: Deep inside the sea
- Contact:


