Joined: 26 Apr 2007 Posts: 1451
Gender:
Location: India
Posted: May 31, 2007 Post subject:
Jane ke liye zamane ke liye,
Hum ne choda tha zamana,
Jinhe paane ke liye,
Wahi chod chale hume zamane ke liye.
--------
--------------
--------------------
--------------------------
Lamha Lamha jodd kar zindagi banayi,
Zindagi me aap ki dosti se mehak aayi,
Dosti ke naam kar diye kuch lamhe,
Aaj bas unhi kuch lamho ki aur aap ki yaad aayi.
--------
--------------
--------------------
--------------------------
Saath aap ke jo hase saath aap ke jo rooye,
Khud gum me doob kar khushiyaan aap tak pahuchaye,
Aise dost iss duniya me kam hi aaye,
Aap ke liye jo jeeye aur aap ke liye mar jaaye.
--------
--------------
---------------------
----------------------------
Hum wahan hai jahan se,
Hum ko bhi humari khabar nahi aati,
Pehle aati thi haale dil pe hasi,
Ab kissi baat par nahi aati.
--------
--------------
----------------------
------------------------------
Maut ki goad me jiss din sone hoga,
Naa koi takia hoga naa koi bichona hoga,
Saath hogi bus aap jaise doston ki mithi yaadein,
Aur shamshaan ka ek chota sa kona hoga.
--------
--------------
----------------------
------------------------------
Dekh kar tum ko yaki hota hai,
Phool itna bhi hasin hota hai,
Dekh paate hai kahan hum tum ko,
Dil kahi hosh kahi hota hai.
--------
---------------
----------------------
------------------------------
Har khushi par haq ho aap ka,
Khushiyoon bhara safar ho aap ka,
Gum kabhi karwat naa le aap ki aur,
Sada muskuraata rahe chahra aap ka.
--------
---------------
----------------------
-------------------------------
Mohabbat ke safar me anjaan hum safar ban gaya,
Naa chah kar bhi woh ishq ka gunahgaar ban gaya,
Chot aisi lagi dil pe ki woh hasna bhool gaya,
Uss ki chahat me woh apno ko bhul gaya.
--------
---------------
----------------------
-------------------------------
Sapna kabhi saakaar nahi hota,
Mohabbat ka koi aakaar nahi hota,
Sab kuch ho jaat hai zindagi me,
Magar dubaara kissi se pyaar nahi hota.
-------
---------------
----------------------
-------------------------------
Ek aarzoo iss dil ko tere pyaar ki,
Ek chahat zindagi ko tere saath ki,
Kya pata kya ho kal,
Bas ek koshish hai duaon se tujhe paane ki.