Joined: 26 Apr 2007 Posts: 1451
Gender:
Location: India
Posted: May 31, 2007 Post subject:
Chaha magar bhula naa sake,
Khayalo me kissi ke aa naa sake,
Kissi aur ko dekh kar aansu toh pooch liye,
Magar kissi aur ko dekh kar muskura naa sake.
---------
-----------------
-------------------------
--------------------------------
Dosti ko mann se jataya aap ne,
Door hote hue bhi pyaar nibhaya aap ne,
Kabhi bhul naa paayenge pyaar aap ka,
Kyun ki yaad rakhna bhi to sikhaya aap ne.
----------
------------------
-------------------------
---------------------------------
Aaj phir se udaasi chaayi hai,
Tanhayi me baithe yaad aap ki aayi hai,
In palko ko band kaise kar loon,
In ankho me tasvir jo aap ki aayi hai.
----------
-----------------
-------------------------
---------------------------------
Khamoshiyaan teri mujh se baat karti hai,
Tera har dard samajhti hai,
Pata hai majboor tu bhi aur me bhi,
Phir bhi aankhe didaar ko tarasti hai.
----------
-----------------
-------------------------
----------------------------------
Dosti humari ibaadat hai aap ki,
Ankho se pyaar jatana aadat hai aap ki,
Apne pyaar ko nazar naa lage,
Chupa kar rakho ye bhi to nasihat hai aap ki.
-----------
------------------
-------------------------
-----------------------------------
Woh dosti kya jiss ko nibhana pade,
Woh pyaar kya jiss ko jatana pade,
Yeh to ek khamosh ehsaas hai,
Woh ehsaas hi kya jiss ko lafzo me batana pade.
-----------
-------------------
---------------------------
------------------------------------
Husn me naaz tha nazakat thi,
Ishq ehsaas tha sharafat thi,
Woh zamana bhi kya zamana tha,
Pyaar karna bhi ek ibadat thi.
----------
--------------------
-----------------------------
-------------------------------------
Ujaale apni yaado ke,
Mere saath rehne do,
Naa jaane kiss gali me,
Zindagi ki shaam ho jaaye.
----------
--------------------
------------------------------
----------------------------------------
Har ek jazbaat ko zuba nahi milti,
Har ek aarzoo ko dua nahi milti,
Muskaan banaye rakho to duniya saath hai,
Warna aansuon ko bhi aankho me panaah nahi milti.