Joined: 20 Nov 2007 Posts: 607
Gender:
Location: Srilanka
Posted: Mar 13, 2008 Topic Views : 732 Post subject: Dard hai Tanhai Hai
Bin us k zindagi dard hai tanhai hai
Meri aankhon mein kiyun maut simat aayee hai
.
.
Kehtay hain log ishq ko ibaadat yaaro
Ibaadat mein phir kiyun ruswaai hai
.
.
Woh na aaye tau dil ko lubhanay mere
Shab-E-Hijr mein uski yaad chali aayee hai
.
.
Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna
Yeh adaa uski muhabbat ne sikhlaayee hai
.
.
Yeh bhi uski muhabbat ki inaayat hai yaaro
Main tamasha hoon aur duniya tamaashaayee hai
.
.
Intizar mein kissi ki na raat ko barbaad karna
Doobtay taaron ne mujhe yeh baat samjhaayee hai
.
.
Us se talluq kuch aisa raha hai yaaro
Jab bhi socha ussay aankh bhar aayee hai...!!!