Usi nadaan bachpan ko !
Unhi masoom khushiyon ko !
Unhi rangeen lamhon ko !
Jahan ghum ka pata na tha !
Jahan dukh ki samjh na thi !
Baharein hi baharein thi !
K jab sawan barasta tha !
To us kagaz ki kashti ko !
Bana'na or dabo dena !
Bohat acha sa lagta tha !
Aur iss duniya ka har chehra !
Bohat sacha sa lagta tha
Chalo phir dhoond lete hain
Usi masoom bachpan ko !





