Posted: Apr 23, 2008 Topic Views : 252 Post subject: AI MUHABBAT
AI MUHABBAT
Chaand badla sitaare badle,
Mai ke cchalakte pyaale badle,
Lub badle maikhaane badle,
Saaki aur paimaane badle,
Ai muhabbat na too badli,
Na tere anjaam badle,
Insaan badla insaaniyat badli,
Vehshiyat ke thikaane badle,
Taaj badla hukumatein badli,
Waqt ke dariyaa badle,
Ai muhabbat naa too badli,
Naa tere anjaam badle,
Too tubh bhi dard ka dariya thhi,
Aaj tuk kyon naa woh dariya badle,
Kul ka ghalib nikamma kiya toone,
Aaj ke gulzaar ko bhi loota toone,
Aashiqo ke janaaze tubh bhi aur abh bhi,
Kyon tere shaano pe hokur bekaraar nikle,
Ai muhabbat kyon naa too,
Na tere anjaam badle....